shoKH the rang har ek daur mein afsanon ke
dil dhaDakte hi rahe aas mein insanon ke
ilm ne KHair na chahi kabhi insanon ki
zarre barbaad yunhi to nahin viranon ke
rahen shahron se guzarti rahin viranon ki
naqsh milte rahe kabe mein sanam-KHanon ke
zindagi wala-o-shaida rahi farzanon ki
nam raushan hue har daur mein diwanon ke
maryami morid-e-tohmat rahi armanon ki
TukDe ek daftar-e-ilzam hain damanon ke
fikr sab ko hai rafu ke liye samanon ki
puchhta koi nahin haal girebanon ke
qadr kuchh kam to nahin ab bhi tan-asanon ki
roz o shab aaj bhi bhaari hain giran-jaanon ke
Ghazal
ShoKH the rang har ek daur mein afsanon ke
Mukhtar Siddiqui