اردو हिंदी
ShoKH kahta hai be-haya jaana | Shaahi Shayari
shoKH kahta hai be-haya jaana

Ghazal

ShoKH kahta hai be-haya jaana

Momin Khan Momin

;

shoKH kahta hai be-haya jaana
dekho dushman ne tum ko kya jaana

shola-e-dil ko naz-e-tabish hai
apna jalwa zara dikha jaana

shauq ne durbash-e-ada ko
us ki mahfil mein marhaba jaana

us ke uThte hi hum jahan se uThe
kya qayamat hai dil ka aa jaana

ghar mein KHud-raftagi se dhum machi
kyunke ho us talak mera jaana

puchhna haal-e-yar hai manzur
main ne naseh ka muddaa jaana

mai na utri gale se jo us bin
mujh ko yaron ne parsa jaana

shikwa karta hai be-niyazi ka
tu ne 'momin' buton ko kya jaana