اردو हिंदी
Shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai | Shaahi Shayari
shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai

Ghazal

Shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai

Figar Unnavi

;

shohrat-e-tarz-e-fughan aam hui jati hai
koshish-e-zabt bhi nakaam hui jati hai

mast hain aur talab-e-jam hui jati hai
be-KHudi hosh ka paigham hui jati hai

muskuraata hai hasin parda-e-gulshan mein koi
aur kali muft mein badnam hui jati hai

qaid mein bhi hai asiron ka wahi josh-e-amal
mashq-e-parwaz tah-e-dam hui jati hai

toD kar dil nigah-e-mast na pher ai saqi
bazm ki bazm hi be-jam hui jati hai

lab jo khole to gulistan mein kali kaun kahe
chup bhi rahti hai to badnam hui jati hai

mujh ko le jaegi manzil pe meri subh-e-yaqin
lakh raste mein mujhe sham hui jati hai

nawak-andazi-e-jaanan ka asar hai ki 'figar'
ek duniya meri hamnam hui jati hai