اردو हिंदी
Shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai | Shaahi Shayari
shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai

Ghazal

Shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai

Shiv Charan Das Goyal Zabt

;

shoala-KHez-o-shoala-war ab har rah-e-tadbir hai
zindagi goya chita ki bolti taswir hai

dekh kar sehn-e-chaman ko ye guman hone laga
goya khinchne ko nai si phir koi taswir hai

aashiyan ki zindagi se ho chala hai dil uchaT
phir wahi shauq-e-shahadat dil ka daman-gir hai

aaj az-rah-e-karam bhar de labaalab saqiya
zauq-e-mai-noshi mera phir maujib-e-tazir hai

aa rahi hai kan mein tauq-o-salasil ki sada
naghma-bar-andaz phir se naghma-e-zanjir hai

kashtiyan mauj-e-hawadis se na Takraen kahin
naKHuda ka KHwab jaise tishna-e-tabir hai

'zabt' ki haalat pe rota hai zamana dekhiye
fasl-e-gul par ru-e-shabnam us ki ye taqdir hai