shoala idhar udhar kabhi saya yahin kahin
hoga wo barq-jism subuk-pa yahin kahin
kin paniyon ka zor use kaT le gaya
dekha tha hum ne ek jazira yahin kahin
mansub jis se ho na saka koi hadsa
gum ho ke rah gaya hai wo lamha yahin kahin
aawargi ka Dar na koi Dubne ka KHauf
sahra hi aas-pas na dariya yahin kahin
wo chahta ye hoga ki main hi use bulaun
meri tarah wo phirta hai tanha yahin kahin
'bani' zara sambhal ke mohabbat ka moD kaT
ek hadsa bhi tak mein hoga yahin kahin
Ghazal
Shoala idhar udhar kabhi saya yahin kahin
Rajinder Manchanda Bani