shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
phir nur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri taqdir bana de
aa apne hi hathon se miTane ke liye aa
ai dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamli mein chhupane ke liye aa
diwar hai duniya ise rahon se haTa de
har rasm-e-mohabbat ko miTane ke liye aa
matlab teri aamad se hai darman se nahin hai
'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa
Ghazal
Shoala hi sahi aag lagane ke liye aa
Hasrat Jaipuri