اردو हिंदी
Shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla | Shaahi Shayari
shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla

Ghazal

Shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla

Zeb Ghauri

;

shoala-e-mauj-e-talab KHun-e-jigar se nikla
na-rasai mein bhi kya kaam hunar se nikla

nashsha-e-marg si ek lahr lahu mein chamki
jab qaba utri to KHanjar bhi kamar se nikla

sang-e-be-his se uThi mauj-e-siyah-tab koi
sarsaraata hua ek sanp khanDar se nikla

main ne dekha tha sahaare ke liye chaaron taraf
ki mere pas hi ek hath bhanwar se nikla

dil ke aashob ka nairang tha kya ashk mein 'zeb'
ek betab samundar bhi guhar se nikla