shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai
wo magar KHud ko jalana bhi nahin chahta hai
us ko manzur nahin hai meri gumrahi bhi
aur mujhe rah pe lana bhi nahin chahta hai
jab se jaana hai ki main jaan samajhta hun use
wo hiran chhoD ke jaana bhi nahin chahta hai
sair bhi jism ke sahra ki KHush aati hai magar
der tak KHak uDana bhi nahin chahta hai
kaise us shaKHs se tabir pe israr karen
jo hamein KHwab dikhana bhi nahin chahta hai
apne kis kaam mein laega batata bhi nahin
hum ko auron pe ganwana bhi nahin chahta hai
mere lafzon mein bhi chhupta nahin paikar us ka
dil magar nam batana bhi nahin chahta hai
Ghazal
Shoala-e-ishq bujhana bhi nahin chahta hai
Irfan Siddiqi