اردو हिंदी
Shoala-e-gul gulab shoala kya | Shaahi Shayari
shoala-e-gul gulab shoala kya

Ghazal

Shoala-e-gul gulab shoala kya

Bashir Badr

;

shoala-e-gul gulab shoala kya
aag aur phul ka ye rishta kya

tum meri zindagi ho ye sach hai
zindagi ka magar bharosa kya

kitni sadiyon ki qismaton ka main
koi samjhe bisat-e-lamha kya

jo na aadab-e-dushmani jaane
dosti ka use saliqa kya

kaam ki puchhte ho gar sahab
aashiqi ke alawa pesha kya

baat matlab ki sab samajhte hain
sahab-e-nashsha gharq-e-baada kya

dil-dukhon ko sabhi satate hain
sher kya git kya fasana kya

sab hain kirdar ek kahani ke
warna shaitan kya farishta kya

din haqiqat ka ek jalwa hai
raat bhi hai usi ka parda kya

tu ne mujh se koi sawal kiya
karwan-e-hayat-e-rafta kya

jaan kar hum 'bashir-badr' hue
is mein taqdir ka nawishta kya