shoala-e-dard ba-unwan-e-tajalla hi sahi
lutf-e-diwangi-o-zauq-e-tamasha hi sahi
dil nahin lazzat-e-didar se sarshaar agar
wahshat-e-jaan hi sahi hasrat-e-jalwa hi sahi
ye bhi kya kam hai ki ummid-e-karam mein guzre
rasm-o-ain-e-wafa dahr mein anqa hi sahi
kuchh to hai jis se hai qindil-e-ghazal tabinda
fikr-e-imroz-o-pareshani-e-farda hi sahi
hijr mein khulte hain asrar-e-mohabbat kya kya
gham mein ye moajiza-e-husn-e-masiha hi sahi
un ke daman pe koi dagh na aane pae
main har ek rang har ek haal mein ruswa hi sahi
phir bhi hai wajh-e-qarar-e-dil-e-muztar 'hafiz'
wo adu din ka dushman meri jaan ka hi sahi
Ghazal
Shoala-e-dard ba-unwan-e-tajalla hi sahi
Hafiz Ludhiyanvi