shikwon pe sitam aahon pe jafa sau bar hui sau bar hua
har baat mujhe har kaam mujhe dushwar hui dushwar hua
saqi ki nashili aaankhon se sari duniya sara aalam
badmast hui badmast hua sarshaar hui sarshaar hua
hai nam dil-e-muztar jis ka kahte hain jise sab jaan-e-hazin
marne ke liye miTne ke liye tayyar hui tayyar hua
izhaar-e-mohabbat bhi hai ghazab izhaar-e-mohabbat kaun kare
hujjat un se jhagDa mujh se har bar hui har bar hua
duniya mein bahaar ab aa pahunchi mai-KHane ka dar bhi khul jae
ek ek gali ek ek makan gulzar hui gulzar hua
kyun rahm wo zalim karne laga kyun maut yahan tak aane lagi
ulfat se meri surat se meri bezar hui bezar hua
hasrat apni arman apna aazar apna taklif apni
hamdard bani hamdard bana gham-KHwar hui gham-KHwar hua
milne se tanaffur tha jis ko aaghosh mein ab wo sota hai
taqdir meri iqbaal mera bedar hui bedar hua
maqtal mein jafaen Dhane par maqtal mein jafaen sahne par
qatil ki nazar bismil ka jigar tayyar hui tayyar hua
ai 'nuh' ye kya sujhi tum ko tufan uThaya kyun tum ne
sari duniya sara aalam bezar hui bezar hua
Ghazal
Shikwon pe sitam aahon pe jafa sau bar hui sau bar hua
Nooh Narvi