اردو हिंदी
Shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho | Shaahi Shayari
shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho

Ghazal

Shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho

Syed Hamid

;

shikwe zaban pe aa saken is ka sawal hi na ho
un se jafa ka zikr kya jin ko KHayal hi na ho

dil hi to hai zaban nahin shikwa nahin karenge hum
lekin ye shart kis liye ji ko malal hi na ho

mizhgan pe wan nigah-e-lutf honTon pe yan hadis-e-shauq
apne hudud se baDhen is ki majal hi na ho

shauq ko intizar-e-lutf lutf ko intizar-e-shauq
baat bane bhi kya jahan pursish-e-haal hi na ho

Thes ghurur ko lagi qahr bani nigah-e-lutf
qahr bhi zid se to aman jis ko zawal hi na ho

lutf na tha jise nasib qahr ki tab lae kyun
ishq ki KHud-farebiyan jaise KHayal hi na ho

'hamid'-e-nau-asir se charKH-e-kuhan ne kya kaha
hai wo hayat raegan jo paemal hi na ho