shikwa hai na ghussa hai ki main kuchh nahin kahta
kyun aap ko dhaDka hai ki main kuchh nahin kahta
chup rahne do dam-bhar mujhe lillah na chheDo
ab is se tumhein kya hai ki main kuchh nahin kahta
is lutf-zabani ko zara sochiye dil mein
ye uzr to beja hai ki main kuchh nahin kahta
us lutf-e-zabani ko zara sochiye dil mein
ye uzr to beja hai ki main kuchh nahin kahta
munh mera na khulwao ki ho jaenge lab band
dekho yahi achchha hai ki main kuchh nahin kahta
Darta nahin jo dil mein ho dushman ke lagae
un par ye huwaida hai ki main kuchh nahin kahta
kyun rukte ho aadat se hun majbur wagarna
kuchh aap se parda hai ki main kuchh nahin kahta
ab wo bhi ye samjha ki ye samjha meri ghaten
is baat se Darta hai ki main kuchh nahin kahta
har rose nae Dhang hain KHatir ke 'nasim' aah
kal se yahi sauda hai ki main kuchh nahin kahta
Ghazal
Shikwa hai na ghussa hai ki main kuchh nahin kahta
Naseem Dehlvi