shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-KHu badla
hum ne bhi sath hi taqrir ka pahlu badla
kahiye to kis ke phansane ki ye tadbiren hain
aaj kyun chin-ba-jabin se KHam-e-gesu badla
ek tera rabt ki do din kabhi yaksan na raha
ek mera haal ki hargiz na sar-e-mu badla
un hasinon hi ko zeba hai talawwun ai dil
han KHabar-dar jo bhule se kabhi tu badla
dil-e-muztar ki taDap se jo main taDpa 'beKHud'
chaara-gar KHush hain ki bimar ne pahlu badla
Ghazal
Shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-KHu badla
Bekhud Badayuni