shikwa na ho tasalsul-e-ah-o-fughan rahe
wo chahte hain aag na bhaDke dhuan rahe
lail-o-nahaar pahle jo the ab kahan rahe
han yaad hai ki tum bhi kabhi mehrban rahe
qurbat mein aa paDe the qayamat ke fasle
tanha the hum to qaul-o-qasam darmiyan rahe
har gam par hain dar-o-rasan ki sahulaten
ab jism-o-jaan luTao ki nam-o-nishan rahe
yun muskura ke tark-e-talluq ki guftugu
aisa sitam ki jis pe karam ka guman rahe
rahon ke pech-o-KHam mein musafir bikhar gae
ab karwan qayam kare ya rawan rahe
KHushbu-e-pairahan mein basa hai ruwan ruwan
wo hum se lakh dur rahe juzw-e-jaan rahe
Ghazal
Shikwa na ho tasalsul-e-ah-o-fughan rahe
Tajammul Hussain Akhtar