shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai
rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai
kal yun tha ki ye qaid-e-zamani se the bezar
fursat jinhen ab sair-e-makani se nahin hai
chaha to yaqin aae na sachchai pe us ki
KHaif koi gul ahd-e-KHizani se nahin hai
dohraata nahin main bhi gae logon ki baaten
is daur ko nisbat bhi kahani se nahin hai
kahte hain mere haq mein suKHan-fahm bas itna
sheron mein jo KHubi hai muani se nahin hai
Ghazal
Shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai
Shahryar