shikwa karun main kab tak us apne mehrban ka
al-qissa rafta rafta dushman hua hai jaan ka
girye pe rang aaya qaid-e-qafas se shayad
KHun ho gaya jigar mein ab dagh gulsitan ka
le jhaDu Tokra hi aata hai subah hote
jarub-kash magar hai KHurshid us ke han ka
di aag rang-e-gul ne wan ai saba chaman ko
yan hum jale qafas mein sun haal aashiyan ka
har subh mere sar par ek hadisa naya hai
paiwand ho zamin ka shewa is aasman ka
in said-afganon ka kya ho shikar koi
hota nahin hai aaKHir kaam un ke imtihan ka
tab to mujhe kiya tha tiron se said apna
ab karte hain nishana har mere ustuKHwan ka
fitrak jis ka aksar lohu mein tar rahe hai
wo qasd kab kare hai is said-e-na-tawan ka
kam-fursati jahan ke majmea ki kuchh na puchho
ahwal kya kahun main is majlis-e-rawan ka
sajda karen hain sun kar aubash sare us ko
sayyad pisar wo pyara haiga imam banka
na-haq shanasi hai ye zahid na kar barabar
taat se sau baras ki sajda us aastan ka
hain dasht ab ye jite baste the shahr sare
virana-e-kohan hai mamura is jahan ka
jis din ki us ke munh se burqa uThega suniyo
us roz se jahan mein KHurshid phir na jhanka
na-haq ye zulm karna insaf kah piyare
hai kaun si jagah ka kis shahr ka kahan ka
saudai ho to rakkhe bazar-e-ishq mein pa
sar muft bechte hain ye kuchh chalan hai wan ka
sau gali ek chashmak itna suluk to hai
aubash KHana jang us KHush-chashm bad-zaban ka
ya roe ya rulaya apni to yun hi guzri
kya zikr ham-safiran yaran-e-shadman ka
qaid-e-qafas mein hain to KHidmat hai nalagi ki
gulshan mein the to hum ko mansab tha rauza-KHwan ka
puchho to 'mir' se kya koi nazar paDa hai
chehra utar raha hai kuchh aaj us jawan ka
Ghazal
Shikwa karun main kab tak us apne mehrban ka
Mir Taqi Mir