shikwa hum tujh se bhala tez hawa kya karte
ghar to apne hi charaghon se jala kya karte
tum to pahle hi wafaon se gurezan the bahut
tum se hum tark-e-talluq ka gila kya karte
gul mein rangat thi nazaron mein jawani tujh se
hum tere baad bahaaron ka bhala kya karte
tujh se dil mein jo gila tha wo na lae lab par
phir se hum bhar gae zaKHmon ko hara kya karte
hum to kar dete gila tujh se na aane ka tere
ghonT deti thi par ummid gala kya karte
jis ki ulfat mein har ek chiz luTa di 'fayyaz'
hum ko samjha gae aadab-e-wafa kya karte
Ghazal
Shikwa hum tujhse bhala tez hawa kya karte
Fayyaz Farooqi