shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka
har jafa se bab khulta hai naya tazir ka
us se paiham guftugu kije kabhi barham na ho
asl par bhaari hai pahlu aap ki taswir ka
dil ke dar pe hain ye donon rishta-e-ham-saegi
gesu-e-shab-gir se hai fikr daman-gir ka
jaur se ghabrane wale hum nahin hain dekhiye
hausla kab tak jawan rahta hai charKH-e-pir ka
kis liye KHwab-e-zuleKHa tishna-e-tabir hai
misr mein shohra bahut yun to hua tabir ka
gholte hain kis liye wo chashma-e-haiwan mein zahr
kaam lete hain tabassum se wo kyun tahqir ka
kash meri kah rahe hain sabza-o-dasht-o-daman
lala-o-barg-o-saman aalam hai ye kashmir ka
naz se dekha hai KHaliq ne miTate barha
naKHun-e-tadbir ko likkha hua taqdir ka
KHak se kar KHaksari se riyazat se araq
aarzu ki aanch de nusKHa hai ye iksir ka
hasraton se is tarah rah rah ke hoti hai KHalish
TuT jae lag ke dil mein jaise paikan tir ka
sher mein 'iqbaal' ka shaida hai 'ghaalib' ka asir
'hamid'-e-be-bahra-go munkir nahin hai mir ka

Ghazal
Shikwa gar kije to hota hai guman taqsir ka
Syed Hamid