اردو हिंदी
Shikwa ab gardish-e-ayyam ka karte kyun ho | Shaahi Shayari
shikwa ab gardish-e-ayyam ka karte kyun ho

Ghazal

Shikwa ab gardish-e-ayyam ka karte kyun ho

Gopal Mittal

;

shikwa ab gardish-e-ayyam ka karte kyun ho
KHwab dekhe the to tabir se Darte kyun ho

KHauf padash ka lafzon mein kahin chhupta hai
zikr itna rasan-o-dar ka karte kyun ho

tum bhi the zud yaqini ke to mujrim shayad
sara ilzam usi shaKHs pe dharte kyun ho

aafiyat kosh agar ho to bura kya hai magar
rah-e-pur-KHar-e-mohabbat se guzarte kyun ho

jaan-ba-lab ko nahin ifa ki tawaqqoa KHud bhi
apne wade se bila-wajh mukarte kyun ho