shikoh-e-zat se dushman ka lashkar kanp jata hai
agar kirdar puKHta ho sitamgar kanp jata hai
tasawwur mein ubharta hai kabhi jab qabr ka manzar
uchaT jati hain ninden aur bistar kanp jata hai
mile hain zaKHm kuchh aise mujhe apne rafiqon se
kai barson ke kuchh rishton ka mehwar kanp jata hai
kisi bhi jang mein koi shahadat ki KHabar sun kar
sisak uThte hain kangan aur zewar kanp jata hai
wo haidar murtaza bhi hain wahi sher-e-KHuda bhi hain
wahi ek nam sun ke ab bhi KHaibar kanp jata hai
chale aate hain kuchh yun be-saliqa log maiKHane
surahi rone lagti hai to saghar kanp jata hai
wahi be-KHauf rahta hai sada 'shayan' duniya mein
KHuda ke KHauf se dil jis ka akasr kanp jata hai
Ghazal
Shikoh-e-zat se dushman ka lashkar kanp jata hai
Shayan Quraishi