اردو हिंदी
Shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai | Shaahi Shayari
shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai

Ghazal

Shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai

Manmohan Talkh

;

shikasta-pa ko bhi ab zauq-e-rah-nawardi hai
dilon mein hum ne wo dhun manzilon ki bhar di hai

guzar kar teri yaadon mein chaar din hum ne
samajh liya ki koi KHas baat kar di hai

meri talab meri hasti se kuchh ziyaada na thi
agarche mujh pe ye tohmat jahan ne dhar di hai

jo raste nazar aate hain jaane-pahchane
unhin ne gum-shudagi ki hamein KHabar di hai

mila suragh-e-haqiqat to dekhta kya hun
ki us ne quwwat izhaar KHatm kar di hai

na puchh aagahi-e-gham ki yun hua mahsus
dahakti aag pe main ne zaban dhar di hai

bahut bujhi hui baaton ka bojh hai dil par
magar kisi ko bhi kya 'talKH' ne KHabar di hai