shikasta lamhon ka tu waqt ko hisab na de
hawa ke hath mein bikhri hui kitab na de
sulag raha hai badan dhup ki tamazat se
bhaDak uThunga mujhe chashma-e-sarab na de
wo rang-e-shab hai ki dhundla ke rah gain aankhen
in aainon ko abhi koi aks-e-KHwab na de
tere wajud se bahar bhi ek duniya hai
yun apne aap ko tanhai ka azab na de
main zindagi ki sada aag bhi hun shabnam bhi
mere dukhon ko samajh yun mujhe jawab na de
guzar na dil ke bayaban se abr ki surat
sukut-e-dasht ko maujon ka iztirab na de
meri hayat ka hamil hain zard-ru patte
KHizan ka naqsh hun tu mujh ko aab-o-tab na de
na chhup sakengi sadaqat ki talKHiyan 'rashid'
barahna shakl ko alfaz ki naqab na de

Ghazal
Shikasta lamhon ka tu waqt ko hisab na de
Mumtaz Rashid