shikasta KHwabon ka aankhon se rabta kar len 
har ek shab ka taqaza ki rat-jaga kar len 
lagaen bhiD gae zard-o-sabz lamhon ki 
aur us hujum mein phir KHud ko lapata kar len 
wagarna jine na dega gham-e-hayat ka zahr 
kisi ke bhule hue gham ka phir nasha kar len 
kuchh ehtijaj bhi rakkhen sharik-e-zabt-e-sitam 
zaban hai gung to chehra sawaliya kar len 
wo zaKHm dast-e-talab ho ki ho gul-e-shadab 
wo kuchh to dega hamin arz-e-muddaa kar len 
nazar hai teri tawajjoh ke har tarashshoh par 
paDe phuwar to zaKHmon ko phir hara kar len 
dikhai dene laga ruKH pe rang-e-baatin bhi 
bahut qarib hain hum thoDa fasla kar len
        Ghazal
Shikasta KHwabon ka aankhon se rabta kar len
Izhar Varsi

