shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai
khanDar khanDar hai yahan dhul ke siwa kya hai
nazar ki dhund mein hain bhuli-bisri taswiren
palaT ke dekhne wale ye dekhna kya hai
abhi to kaT rahi hai har ek sans ki dhaar
azal jab aae to dekhun ki intiha kya hai
rahegi dhup mere sar pe aaKHiri din tak
jawan hai peD magar us ka aasra kya hai
tujhe pasand kahan haal puchhna mera
teri nigah mein lekin sawal sa kya hai
dhuan nahin na sahi aag to nazar aae
yun chupke chupke sulagne se faeda kya hai
udas raat ki KHamoshiyon mein ai 'qaisar'
qarib aati hui dur ki sada kya hai
Ghazal
Shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai
Qaisar Shameem