shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai
ye shahr dil se ziyaada dukha sa lagta hai
har ek ke sath koi waqia sa lagta hai
jise bhi dekho wo khoya hua sa lagta hai
zamin hai so wo apni gardishon mein kahin
jo chand hai so wo TuTa hua sa lagta hai
mere watan pe utarte hue andheron ko
jo tum kaho mujhe qahr-e-KHuda sa lagta hai
jo sham aai to phir sham ka laga darbar
jo din hua to wo din karbala sa lagta hai
ye raat kha gai ek ek kar ke sare charagh
jo rah gaya hai wo bujhta hua sa lagta hai
dua karo ki main us ke liye dua ho jaun
wo ek shaKHs jo dil ko dua sa lagta hai
to dil mein bujhne si lagti hai kaenat tamam
kabhi kabhi jo mujhe tu bujha sa lagta hai
jo aa rahi hai sada ghaur se suno us ko
ki is sada mein KHuda bolta sa lagta hai
abhi KHarid len duniya kahan ki mahngi hai
magar zamir ka sauda bura sa lagta hai
ye maut hai ya koi aaKHiri visal ke baad
ajab sukun mein soya hua sa lagta hai
hawa-e-rang-e-do-alam mein jagti hui lai
'alim' hi kahin naghma-sara sa lagta hai
Ghazal
Shikasta-haal sa be-asra sa lagta hai
Obaidullah Aleem