shikasta ghar mein koi chiz bhi nahin puri
kahin hawa to kahin raushni nahin puri
main tujh ko dekh to sakta hun chhu nahin sakta
tu hai magar teri maujudgi nahin puri
ana sambhaalte dil kho diya hai main ne wahin
tumhaare samne se wapsi nahin puri
main sochta hun ki ab kuza-gar badal hi lun
jo mil rahi hai mujhe behtari nahin puri
main ro raha hun magar saneha batata hai
ki us ki aankh se wabastagi nahin puri
kahin to ho jahan bachche hi sirf rahte hon
kisi ilaqe mein bhi zindagi nahin puri
Ghazal
Shikasta ghar mein koi chiz bhi nahin puri
Qasim Yaqub