shikasta-dil ki KHushi dosto KHushi to na thi
hansi pe waqt ke ek tanz tha hansi to na thi
tamam umr jise raushni samajhte rahe
fareb-e-chashm-e-tamanna tha raushni to na thi
kisi ke baad jo guzri kisi ki hasrat mein
wo ek saza-e-mohabbat thi zindagi to na thi
jise zamane ne gul ki hansi ka nam diya
wo ek kaifiyat-e-karb thi hansi to na thi
main tark rasm-e-wafa bewafa se kyun karta
tha iKHtila-e-KHayalat dushmani to na thi
hansi hansi mein mere dil ko chhinne wale
ye intiqam-e-mohabbat thi dilbari to na thi
mili thi rah-e-hawas mein jo raushni 'saqi'
wo ek zulmat-e-rahzan thi raushni to na thi
Ghazal
Shikasta-dil ki KHushi dosto KHushi to na thi
Aulad Ali Rizvi