shikasta chhat na sahi aasman rahne de
kaDa hai waqt koi saeban rahne de
kuchh aur tang na ho jae jangalon ka hisar
fasil-e-shahr abhi darmiyan rahne de
qarib-e-shahr pahunch kar ghubar-e-rah na jhaD
thake badan pe safar ka nishan rahne de
na chhin mujh se mere roz-o-shab ke hangame
main ji raha hun mujhe ye guman rahne de
bhaDak uThe na samundar ki tishnagi 'rashid'
mera lahu bhi sar-e-baadban rahne de

Ghazal
Shikasta chhat na sahi aasman rahne de
Mumtaz Rashid