shikasta chhat mein parindon ko jab Thikana mila
main KHush hua ki mere ghar ko bhi gharana mila
falak pe uDte hue bhi nazar zamin pe rahi
mizaj mujh ko muqaddar se tairana mila
hum is ke husn-e-suKHan ki dalil kya denge
wo jitni bar mila hum se barmala na mila
kisi ki dekhti aankhen bhi aas pas rahen
tujhe mila to ba ehsas-e-mujrimana mila
main apni baat daraKHton se kah ke rota hun
ki mere gham ko kisi rut na aashiyana mila
ab aa gaya hai to chup-chap KHamushi ko san
mere sukut mein apni koi sada na mila
laDi si TuT ke aankhon se gir paDi 'nayyar'
labon se harf ka koi bhi silsila na mila
Ghazal
Shikasta chhat mein parindon ko jab Thikana mila
Shahzad Nayar