shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na
to sach bata ye mulaqat aaKHiri hai na
kaha nahin tha mera jism aur bhar yarab
so ab ye KHak tere pas bach gai hai na
tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya
jo baat kah nahin paya samajh rahi hai na
isi liye hamein ehsas-e-jurm hai shayad
abhi hamari mohabbat nai nai hai na
ye kor-chashm ujalon se ishq karte hain
jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na
main KHud bhi yar tujhe bhulne ke haq mein hun
magar jo bich mein kam-baKHt shaeri hai na
main jaan-bujh ke aaya tha tegh aur tere bich
miyan nibhani to paDti hai dosti hai na
Ghazal
Shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na
Afzal Khan