shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun
main KHud bhi KHud ko sunna chahta hun
nahin mere liye kya aur koi
usi ka rasta kyun dekhta hun
usi sahil pe Dubunga jahan se
samundar ka tamasha kar raha hun
charagh-e-shola-e-sar hun aur hawa mein
sar-e-diwar-e-jaan rakkha hua hun
guzarna hai jise sahra se ho kar
main us dariya ke dukh se aashna hun
visal-e-yar ki KHwahish mein aksar
charagh-e-sham se pahle jala hun
ghunuda saaton ki shab se 'tishna'
tawaf-e-ariz-o-lab kar raha hun
Ghazal
Shikast-e-shisha-e-dil ki sada hun
Alamtaab Tishna