shikast-e-shisha-e-dil ki dawa main kya karta
tere alawa koi dusra main kya karta
main ghota-zan tha teri yaad ke samundar mein
libas uTha ke koi le gaya main kya karta
kisi ke jam ki jhuTi sharab kyun pita
tumhaare husn ki qatil ada main kya karta
main jab chala meri manzil bhi chal paDi aage
hamara kam na hua fasla main kya karta
har ek chiz agar tere iKHtiyar mein hai
to main ne hone diya jo hua main kya karta
hayat-e-nau ke jazire pe rokni paDi naw
muKHalifat pe tuli thi hawa main kya karta
meri sarisht mein inkar rakh diya tu ne
to hukm manta kaise bhala main kya karta
ye dil to ek zamane se intizar mein tha
tu aa ke baiThta phir dekhta main kya karta
mera to jo bhi tha sab kuchh tera diya hua tha
mere karim tera shukriya main kya karta
Ghazal
Shikast-e-shisha-e-dil ki dawa main kya karta
Shahnawaz Zaidi

