shikast-e-jaan se siwa bhi hai kar-e-fan kya kya
azab khinch raha hai mera badan kya kya
na koi hijr ka din hai na koi wasl ki raat
magar wo shaKHs ki hai jaan-e-anjuman kya kya
ada hui hai kai bar tark-e-ishq ki rasm
magar hai sar pe wahi qarz-e-jaan-o-tan kya kya
nigah-e-bulhawasan hae kya qayamat hai
badal rahe hain gul-o-lala pairahan kya kya
guzar gae to guzarte rahe bahut KHurshid
jo rang lai to lai hai ek kiran kya kya
qarib tha ki main kar-e-junun se baz aaun
khinchi KHayal mein taswir-e-kohkan kya kya
Ghazal
Shikast-e-jaan se siwa bhi hai kar-e-fan kya kya
Obaidullah Aleem

