shikast-e-ahd par is ke siwa bahana bhi kya
ki us ka koi nahin tha mera Thikana bhi kya
ye sach hai us se bichhaD kar mujhe zamana hua
magar wo lauTna chahe to phir zamana bhi kya
main har taraf hun wo aae shikar kar le mujhe
jahan hadaf hi hadaf ho to phir nishana bhi kya
wo chahta hai saliqe se baat karne lagun
jo itni sach ho banegi bhala fasana bhi kya
usi rawish par chalo zindagi guzar aaen
siwae is ke karen harf ko bahana bhi kya
jo lafz bhulna chahun wo yaad aata hai
meri saza ke liye aur taziyana bhi kya
ab us gali mein hai kya intizam ke laeq
to phir risala-e-dil ko karen rawana bhi kya
faraaz-e-mah bhi pahnaiyan bhi raushan hain
charagh jalta hai koi tah-e-KHazana bhi kya
jahan bhi jaun wahi intizar ki surat
wo mujh ko chahe magar itna walihana bhi kya
mera wajud nahin KHanqah se bahar
magar fishaar-e-ghazal mein ye sufiyana bhi kya
Ghazal
Shikast-e-ahd par is ke siwa bahana bhi kya
Abul Hasanat Haqqi