shikast-e-abla-e-dil mein naghmagi hai bahut
sunega kaun ki duniya badal gai hai bahut
har ek naqsh mein hai na-tamamiyon ki jhalak
tere jahan mein kisi chiz ki kami hai bahut
gale laga ke gul-o-nastaran ko roya hun
ki mujh ko nazm-e-gulistan se aagahi hai bahut
yahan kisi ka bhi chehra dikhai de na sake
harim-e-dil mein tamanna ki raushni hai bahut
main ek lamha bhi manind-e-shama jal na sakun
wo ek shab ke liye hi sahi jali hai bahut
hai KHud-fareb bahut mere ahd ka fankar
hunar nahin bhi to shor-e-hunar-wari hai bahut
labon pe jaan ho to ehsas-e-talKH-o-shirin kya
kahin se zahr hi lao ki tishnagi hai bahut
KHirad ko naz hai kyun rasm-e-kaj-kulahi par
sar-e-junun ke liye musht-e-KHak bhi hai bahut
garan hai jins-e-wafa aur mushtari nayab
hazar bar luTa hun ki dil ghani hai bahut
ajab nashat ke pahlu gham-e-habib mein hain
ki Dubti nahin ye naw Dolti hai bahut
tumhaara nam kisi ajnabi ke lab par tha
zara si baat thi dil ko magar lagi hai bahut
dam-e-widaa mein yun muskura raha hun 'nasim'
ki jaise un se judai ki bhi KHushi hai bahut

Ghazal
Shikast-e-abla-e-dil mein naghmagi hai bahut
Sadique Naseem