shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki
ghazal ke sher nahin karwaTen hain shab bhar ki
phir aai raat meri sans rukti jati hai
sarakti aati hain diwaren phir mere ghar ki
mujhe to karni paDi aabyari-e-sahra
magar nasib mein thi tishnagi samundar ki
ye jama o KHarch zabani hai naqd-e-sher-o-suKHan
magar yahi to kamai hai zindagi bhar ki
usi ne baKHshi hai rangini-e-hayat mujhe
kabhi kabhi to usi ne hayat dubhar ki
rida-e-rang se chhanta hua badan tera
ye chandni ki tamazat hai tere paikar ki
kitab-e-husn hai tu mil khuli kitab ki tarah
yahi kitab to mar mar ke main ne azbar ki
sanam ki aas liye nok-e-tesha bota hun
main kab se fasl ugata raha hun patthar ki
nibah karta hun duniya se is tarah ai 'shaz'
ki jaise dosti ho aastin o KHanjar ki
Ghazal
Shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki
Shaz Tamkanat