اردو हिंदी
Shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai | Shaahi Shayari
shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai

Ghazal

Shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai

Bushra Zaidi

;

shikan-andar-shikan yaad aa gaya hai
visal-e-tishna-tan yaad aa gaya hai

ye dasht-e-arzu ki be-panahi
ghane sapnon ka ban yaad aa gaya hai

mere raste mein chaTTanen bahut hain
mujhe ab kohkan yaad aa gaya hai

charagh-e-uryan tan ko bhi bil-aKHir
hawa ka pairahan yaad aa gaya hai

barasti ja rahin be-tahasha
in aankhon ko watan yaad aa gaya hai

ye kaisa KHwab hai aankhon mein 'bushra'
ye kya diwana-pan yaad aa gaya hai