shikayat se gharaz kya muddaa kya
nahin to dost dushman ka gila kya
na aaya nama-bar ghabra raha hun
nahin malum kya guzri hua kya
bahut achchhi nihayat KHub guzri
aji aafat-zadon ka puchhna kya
na do mujh ko mubarakbaad be-sud
buri taqdir walon ka bhala kya
ye kyun chitwan phiri kyun aankh badli
bhala main ne qusur aisa kiya kya
kab us kuche mein Thahregi meri KHak
na hoga koi ehsan-e-hawa kya
umid us se ghalat samjha ye o dil
sitamgar se tamanna-e-wafa kya
baDha kar hath len un ko ye mushkil
nasib aise mubarak phir dua kya
na ghabrao aji karwaT na badlo
irade hain abhi KHatir mein kya kya
ye kab tak parsai aashiqon se
mohabbat hai to phir hum se haya kya
jigar pani hai sadmon se lahu dil
mere sine mein o zalim raha kya
kiya hota koi ehsan to zalim
karenge shukr tera hum ada kya
nahin mumkin ki tujh ko rahm aae
wo main kya aur meri iltija kya
maaz-allah gar hai naujawani
rahoge umr-bhar tum parsa kya
kahan hai dard dil mein jo kaho hae
maza dega hamara majra kya
kise dekha ki bhola aap ko bhi
tajjub hai ye mujh ko ho gaya kya
'nasim' aao zara tum bhi suno to
ye charcha ho raha hai ja-ba-ja kya
Ghazal
Shikayat se gharaz kya muddaa kya
Naseem Dehlvi