shikayat ke ewaz hum shukr karte hain sanam tere
maza dene lage kuchh sahte sahte ab sitam tere
na puchh ab mujh se tu meri umidon ki ye surat hai
ki hain bhi aur nahin bhi jis tarah pur-lutf kam tere
jidhar tu ne kiya ruKH zer-e-pa mera tasawwur tha
na bawar ho to dekh aankhon mein hain naqsh-e-qadam tere
lab-e-jaan-baKHsh-e-jaanan kab ijazat denge marne ki
qayamat tak na dekhenge qadam KHwab-e-adam tere
nahin rakhta koi sarmaya-e-amal pas apne
bharose ke liye aashiq ke kafi hain karam tere
tamanna ghair ki karna KHilaf-e-rasm-e-ulfat hai
main ehsan-e-ajal kyun lun nahin hain kya sitam tere
zara dekhen to kyun kar dam nikal jata hai sadmon se
firaq-e-dil-ruba aaj imtihan karte hain hum tere
mujhe bhule nahin pas-e-mohabbat us ko kahte hain
shab-e-waslat mein bhi hain duri-e-jaanan karam tere
hujum-e-be-KHudi mein ai 'nasim' ab pas-e-mani kya
ijazat de bura achchha likhen jo kuchh qalam tere
Ghazal
Shikayat ke ewaz hum shukr karte hain sanam tere
Naseem Dehlvi