اردو हिंदी
Shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai | Shaahi Shayari
shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai

Ghazal

Shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai

Nadir Kakorvi

;

shikayat kar ke ghussa aur un ka tez karna hai
abhi to guftugu-e-maslahat-amez karna hai

ye duniya ja-e-asaish nahin hai aazmaish hai
yahan jo saKHtiyan tujh par paDin angez karna hai

ghazal-KHwani ko tu is bazm mein aaya nahin 'nadir'
tujhe yan waz kahna pand-e-sud-amez karna hai