اردو हिंदी
Shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte | Shaahi Shayari
shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte

Ghazal

Shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte

Farah iqbal

;

shikayat hum nahin karte riayat wo nahin karte
magar is par sitam koi wazahat wo nahin karte

rawan ho kis tarah se chahaton ka karwan apna
hamein ruswai ka Dar hai baghawat wo nahin karte

hami jalwa dikhate hain hami shoKHi nigahon se
nahin hota asar phir bhi shararat wo nahin karte

nazar do-chaar ho jae to jhuk jati hain ye palken
magar phir bhi koi jazba inayat wo nahin karte

saba le kar payam aae ya phulon ka salam aae
kisi bhi mausam-e-dil se mohabbat wo nahin karte

koi nama koi email mere nam likh den wo
mohabbat mein kabhi itni bhi zahmat wo nahin karte