shikari ne rakkha Thikana buland
hadaf past-qamat nishana buland
yahan zulm ki hain kamanden daraaz
kahan tak karen aashiyana buland
tere samne sar-ba-sajda hain log
mera nam hai ghaebana buland
samajh lijiye talKH guzra hai din
agar hai nawa-e-shabana buland
mujhe bolne ki ijazat nahin
meri zat nichi zamana buland
baDi tez raftar hai umr ki
KHudara na kar taziyana buland
meri chiKH bhi kho gai hai 'raza'
hua har taraf se tarana buland
Ghazal
Shikari ne rakkha Thikana buland
Qazi Hasan Raza