shikar ho gaya wo KHud hi is zamane ka
jawaz DhunD raha tha mujhe miTane ka
ye imtihan fan-e-azari se hai mansub
tarash lijiye patthar koi Thikane ka
kabhi raha to nahin gardish-e-falak ka sath
kahan se sikha hai tum ne hunar satane ka
mere KHulus ka jis ko na e'tibar aaya
fareb khata raha umr bhar zamane ka
jo ahl-e-dil hain wahi aazmae jate hain
ajib rang hai qudrat ke kar-KHane ka
jo aala zarf hain malum hai unhen 'shahin'
saliqa chahiye insan ko gham uThane ka
Ghazal
Shikar ho gaya wo KHud hi is zamane ka
Salma shaheen