shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya
mat puchho ki mujh par kya guzri jab hath se saghar chhuT gaya
tariki-e-mahfil ka shikwa tum karte ho ai diwano kyun
KHud shama bujha di hai tum ne KHud-baKHt tumhaara phuT gaya
saqi ki nazar uThti hi nahin kyun baada-o-saghar ki jaanib
sarmaya-e-mai-KHana aa kar kya koi luTera luT gaya
mahrumi-e-qismat ka aalam kya puchh rahe ho tum mujh se
manzil to abhi hai dur bahut aur ek ek sathi chhuT gaya
uThta hai 'danish' dil se dhuan aankhon se Tapakte hain aansu
kya aatish-e-gham dene lagi lau kya dil ka phaphula phuT gaya
Ghazal
Shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya
Danish Farahi