اردو हिंदी
Shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya | Shaahi Shayari
shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya

Ghazal

Shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya

Ibrahim Ashk

;

shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya
patthar hain sab ke hath mein mujh ko kami hai kya

ab shahr mein wo phul se chehre nahin rahe
kaisi lagi hai aag ye basti hui hai kya

main jal raha hun aur koi dekhta nahin
aankhen hain sab ke pas magar bebasi hai kya

tum dost ho to mujh se zara dushmani karo
kuchh talKHiyan na hon to bhala dosti hai kya

ai gardish-e-talash na manzil na rasta
mera junun hai kya meri aawargi hai kya

KHush ho ke har fareb zamane ka kha liya
ye dil hi jaanta hai ki dil par bani hai kya

do bol dil ke hain jo har ek dil ko chhu saken
ai 'ashk' warna sher hain kya shairi hai kya