shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale
main koh-e-damawand se aa pahuncha himale
howe to rahe shisha-o-ahan ki hukumat
kansi ki meri tegh hai miTTi ke pyale
har shaKHs ba-andaz-e-digar wasil-e-shak tha
uTha main teri bazm se iqan sambhaale
ab ishq-e-nawardi hi Thikane se lagae
shoala na jalae mujhe girdab uchhaale
hone ki KHabar bhi na tera hijr-zada de
bhar lewe kabhi aah kabhi shama jala le
bose ka talazzuz ho kabhi tauf ki rahat
arman mera ye dil-e-kafir bhi nikale
ibham ke reshon se bana bagh-e-taKHayyul
ho jae kabhi chashm-e-tahayyur ke hawale
Ghazal
Shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale
Ahmad Jahangeer