shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah
dil ki dhaDkan ki bhi aawaz hai ghunghru ki tarah
main wo diwana-e-haalat hun sahra sahra
jo phira karta hai bhaTke hue aahu ki tarah
jaane kis rang mein aai hai bahaaran ab ke
phul bhi zaKHm sa shabnam bhi hai aansu ki tarah
wo jo amwaj-e-hawadis mein hain palne wale
un ko tufan nazar aata hai lab-e-ju ki tarah
gum-rah-e-shauq ko hamrah dikhane ke liye
zulmat-e-shab mein chamakte rahe jugnu ki tarah
fikr-o-fan ki nae gul-daste saja kar 'wahid'
aao bas jaen har ek zehn mein KHushbu ki tarah
Ghazal
Shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah
Wahid Premi