sher se shairi se Darte hain
kam-nazar raushni se Darte hain
log Darte hain dushmani se teri
hum teri dosti se Darte hain
dahr mein aah-e-be-kasan ke siwa
aur hum kab kisi se Darte hain
hum ko ghairon se Dar nahin lagta
apne ahbab hi se Darte hain
dawar-e-hashr baKHsh de shayad
han magar maulwi se Darte hain
ruThta hai to ruTh jae jahan
un ki hum be-ruKHi se Darte hain
har qadam par hai mohtasib 'jalib'
ab to hum chandni se Darte hain

Ghazal
Sher se shairi se Darte hain
Habib Jalib