sher-o-suKHan ki us mahfil mein sab se chhoTe hum hi the
sab se unche mansab wale khoTe sikke hum hi the
yaad hamein hai tum bhi socho waqt paDa jab urdu par
sab the uljhi bhasha wale urdu wale hum hi the
daulat shohrat hikmat wale sab hain tere dam ke sath
duniya teri sari raunaq chhoD ke baiThe hum hi the
TuT chuke sab rishte nate aage pichhe rahen thin
tera ban ke rahne wale mare-bandhe hum hi the
duniya hum se leti kya aur hum duniya ko dete kya
sab the sidhe-sade buzdil aaDe-tirchhe hum hi the
hum the apne aage pichhe aur nazar mein koi na tha
aisa surma 'anwar' apni aankh mein Dale hum hi the
Ghazal
Sher-o-suKHan ki us mahfil mein sab se chhoTe hum hi the
Anwar Nadim